धूप में निकलो घटाओं में नहा कर
धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो, ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो।
Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho, Zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho.
✦ Ek ehsaas, kai alfaaz ✦
Khwahishein, insaaniyat aur duniya ko dekhne ka nazariya. Zindagi ki gehraai, do panktiyon mein.
Har ehsaas ko ek awaaz
धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो, ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो।
Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho, Zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho.
हज़ारों ख़्वाहिशें ऐसी कि हर ख़्वाहिश पे दम निकले, बहुत निकले मिरे अरमान लेकिन फिर भी कम निकले।
Hazaaron khwahishein aisi ki har khwahish pe dam nikle, Bahut nikle mire armaan lekin phir bhi kam nikle.
अरमान: दिल की चाह। मिरे: मेरे।
सितारों से आगे जहाँ और भी हैं, अभी इश्क़ के इम्तिहाँ और भी हैं।
Sitaaron se aage jahaan aur bhi hain, Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain.
जहाँ: दुनिया। इम्तिहाँ: परीक्षाएँ।
बस-कि दुश्वार है हर काम का आसाँ होना, आदमी को भी मयस्सर नहीं इंसाँ होना।
Bas-ki dushwaar hai har kaam ka aasaan hona, Aadmi ko bhi muyassar nahin insaan hona.
दुश्वार: कठिन। मयस्सर: हासिल।
दुनिया में हूँ दुनिया का तलबगार नहीं हूँ, बाज़ार से गुज़रा हूँ ख़रीदार नहीं हूँ।
Duniya mein hoon duniya ka talabgaar nahin hoon, Baazaar se guzra hoon khareedaar nahin hoon.
तलबगार: चाह रखने वाला।
बहुत पहले से उन क़दमों की आहट जान लेते हैं, तुझे ऐ ज़िंदगी हम दूर से पहचान लेते हैं।
Bahut pehle se un qadmon ki aahat jaan lete hain, Tujhe ai zindagi hum door se pehchaan lete hain.
चला जाता हूँ हँसता खेलता मौज-ए-हवादिस से, अगर आसानियाँ हों ज़िंदगी दुश्वार हो जाए।
Chala jaata hoon hansta khelta mauj-e-hawaadis se, Agar aasaaniyan hon zindagi dushwaar ho jaaye.
सफ़र में धूप तो होगी जो चल सको तो चलो, सभी हैं भीड़ में तुम भी निकल सको तो चलो।
Safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo, Sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chalo.
घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें, किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाए।
Ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar lein, Kisi rote hue bachche ko hansaaya jaaye.
हर आदमी में होते हैं दस बीस आदमी, जिस को भी देखना हो कई बार देखना।
Har aadmi mein hote hain das-bees aadmi, Jis ko bhi dekhna ho kayi baar dekhna.
उजाले अपनी यादों के हमारे साथ रहने दो, न जाने किस गली में ज़िंदगी की शाम हो जाए।
Ujaale apni yaadon ke hamaare saath rehne do, Na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye.
दुश्मनी जम कर करो लेकिन ये गुंजाइश रहे, जब कभी हम दोस्त हो जाएँ तो शर्मिंदा न हों।
Dushmani jam kar karo lekin ye gunjaaish rahe, Jab kabhi hum dost ho jaayein to sharminda na hon.
सात संदूक़ों में भर कर दफ़्न कर दो नफ़रतें, आज इंसाँ को मोहब्बत की ज़रूरत है बहुत।
Saat sandookon mein bhar kar dafn kar do nafratein, Aaj insaan ko mohabbat ki zaroorat hai bahut.
जी बहुत चाहता है सच बोलें, क्या करें हौसला नहीं होता।
Jee bahut chahta hai sach bolein, Kya karein hausla nahi hota.
वक़्त रहता नहीं कहीं टिक कर, आदत इस की भी आदमी सी है।
Waqt rehta nahi kahin tik kar, Aadat iski bhi aadmi si hai.
मैं ज़िंदगी का साथ निभाता चला गया, हर फ़िक्र को धुएँ में उड़ाता चला गया।
Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya, Har fikr ko dhuein mein udaata chala gaya.
बर्बादियों का सोग मनाना फ़ुज़ूल था, बर्बादियों का जश्न मनाता चला गया।
Barbaadiyon ka sog manaana fuzool tha, Barbaadiyon ka jashn manaata chala gaya.
जो मिल गया उसी को मुक़द्दर समझ लिया, जो खो गया मैं उस को भुलाता चला गया।
Jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya, Jo kho gaya main usko bhulaata chala gaya.
किसी को घर मिला हिस्से में या कोई दुकाँ आई, मैं घर में सब से छोटा था मिरे हिस्से में माँ आई।
Kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaan aayi, Main ghar mein sab se chhota tha mere hisse mein maa aayi.
लबों पे उस के कभी बद-दु'आ नहीं होती, बस एक माँ है जो मुझ से ख़फ़ा नहीं होती।
Labon pe uske kabhi baddua nahi hoti, Bas ek maa hai jo mujhse khafa nahi hoti.
चलती फिरती हुई आँखों से अज़ाँ देखी है, मैं ने जन्नत तो नहीं देखी है माँ देखी है।
Chalti phirti hui aankhon se azaan dekhi hai, Maine jannat to nahi dekhi hai maa dekhi hai.
उड़ने दो परिंदों को अभी शोख़ हवा में, फिर लौट के बचपन के ज़माने नहीं आते।
Udne do parindon ko abhi shokh hawa mein, Phir laut ke bachpan ke zamaane nahi aate.
जहाँ रहेगा वहीं रौशनी लुटाएगा, किसी चराग़ का अपना मकाँ नहीं होता।
Jahaan rahega wahin raushni lutaayega, Kisi charaagh ka apna makaan nahi hota.
कौन सी बात कहाँ कैसे कही जाती है, ये सलीक़ा हो तो हर बात सुनी जाती है।
Kaun si baat kahaan kaise kahi jaati hai, Ye saleeqa ho to har baat suni jaati hai.
रंज से ख़ूगर हुआ इंसाँ तो मिट जाता है रंज, मुश्किलें मुझ पर पड़ीं इतनी कि आसाँ हो गईं।
Ranj se khoogar hua insaan to mit jaata hai ranj, Mushkilein mujh par padin itni ki aasaan ho gayin.
ज़िंदगी क्या है अनासिर में ज़ुहूर-ए-तरतीब, मौत क्या है इन्हीं अज्ज़ा का परेशाँ होना।
Zindagi kya hai anaasir mein zuhoor-e-tarteeb, Maut kya hai inheen ajza ka pareshaan hona.
हज़ारों साल नर्गिस अपनी बे-नूरी पे रोती है, बड़ी मुश्किल से होता है चमन में दीदा-वर पैदा।
Hazaaron saal nargis apni benoori pe roti hai, Badi mushkil se hota hai chaman mein deedawar paida.
जितना कम सामान रहेगा, उतना सफ़र आसान रहेगा।
Jitna kam saamaan rahega, Utna safar aasaan rahega.
वक़्त अच्छा भी आएगा 'नासिर', ग़म न कर ज़िंदगी पड़ी है अभी।
Waqt achha bhi aayega 'Nasir', Gham na kar zindagi padi hai abhi.
आने वाली नस्लें तुम पर फ़ख़्र करेंगी हम-असरो, जब भी उन को ध्यान आएगा तुम ने 'फ़िराक़' को देखा है।
Aane waali naslein tum par fakhr karengi hum-asro, Jab bhi un ko dhyaan aayega tum ne 'Firaq' ko dekha hai.
'उम्र-ए-दराज़ माँग के लाई थी चार दिन, दो आरज़ू में कट गए दो इंतिज़ार में।
Umr-e-daraaz maang ke laayi thi chaar din, Do aarzoo mein kat gaye do intezaar mein.
दुनिया जिसे कहते हैं जादू का खिलौना है, मिल जाए तो मिट्टी है खो जाए तो सोना है।
Duniya jise kehte hain jaadoo ka khilauna hai, Mil jaaye to mitti hai kho jaaye to sona hai.
ग़म का ख़ज़ाना तेरा भी है मेरा भी, ये नज़राना तेरा भी है मेरा भी।
Gham ka khazaana tera bhi hai mera bhi, Ye nazraana tera bhi hai mera bhi.
कोई ये कैसे बताए कि वो तन्हा क्यूँ है, वो जो अपना था वही और किसी का क्यूँ है।
Koi ye kaise bataaye ki wo tanha kyun hai, Wo jo apna tha wahi aur kisi ka kyun hai.
ज़िंदगी से यही गिला है मुझे, तू बहुत देर से मिला है मुझे।
Zindagi se yahi gila hai mujhe, Tu bahut der se mila hai mujhe.
'इंशा'-जी उठो अब कूच करो इस शहर में जी को लगाना क्या, वहशी को सुकूँ से क्या मतलब जोगी का नगर में ठिकाना क्या।
Insha ji utho ab kooch karo is shahar mein jee ko lagaana kya, Wahshi ko sukoon se kya matlab jogi ka nagar mein thikaana kya.
हस्ती अपनी हबाब की सी है, ये नुमाइश सराब की सी है।
Hasti apni habaab ki si hai, Ye numaaish saraab ki si hai.
ऊँची इमारतों से मकाँ मेरा घिर गया, कुछ लोग मेरे हिस्से का सूरज भी खा गए।
Oonchi imaarton se makaan mera ghir gaya, Kuch log mere hisse ka sooraj bhi kha gaye.
आए कुछ अब्र कुछ शराब आए, इस के ब'अद आए जो अज़ाब आए।
Aaye kuch abr kuch sharaab aaye, Is ke baad aaye jo azaab aaye.
रहिमन धागा प्रेम का, मत तोड़ो छिटकाय, टूटे से फिर न मिले, मिले गाँठ परिजाय॥
Rahiman dhaaga prem ka, mat todo chhitkaay, Toote se phir na mile, mile gaanth parijaay.
Har sher ke saath shayar ka naam aur Hinglish paath hai. Naam dabaakar isi website par unki saari uplabdh rachnaayein padhein. Pasand aaye to copy karein ya tasveer banaayein.
Aur ehsaas padhiye