तुम अगर साथ देने का वा'दा करो
तुम अगर साथ देने का वा'दा करो, मैं यूँही मस्त नग़्मे लुटाता रहूँ।
Tum agar saath dene ka waada karo, Main yunhi mast naghme lutaata rahoon.
Ek shayar, kai ehsaas
Is sangrah mein Sahir Ludhianvi ki saari 7 rachnaayein. Hindi aur Hinglish mein padhiye, apni pasand sahejiye aur kisi apne se share keejiye.
Saare shayarHar ehsaas ko ek awaaz
तुम अगर साथ देने का वा'दा करो, मैं यूँही मस्त नग़्मे लुटाता रहूँ।
Tum agar saath dene ka waada karo, Main yunhi mast naghme lutaata rahoon.
चलो इक बार फिर से अजनबी बन जाएँ हम दोनों, न मैं तुम से कोई उम्मीद रखूँ दिल-नवाज़ी की।
Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayein hum dono, Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnawaazi ki.
तंग आ चुके हैं कशमकश-ए-ज़िंदगी से हम, ठुकरा न दें जहाँ को कहीं बे-दिली से हम।
Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum, Thukra na dein jahaan ko kahin bedili se hum.
मैं ज़िंदगी का साथ निभाता चला गया, हर फ़िक्र को धुएँ में उड़ाता चला गया।
Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya, Har fikr ko dhuein mein udaata chala gaya.
बर्बादियों का सोग मनाना फ़ुज़ूल था, बर्बादियों का जश्न मनाता चला गया।
Barbaadiyon ka sog manaana fuzool tha, Barbaadiyon ka jashn manaata chala gaya.
जो मिल गया उसी को मुक़द्दर समझ लिया, जो खो गया मैं उस को भुलाता चला गया।
Jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya, Jo kho gaya main usko bhulaata chala gaya.
ज़ुल्म फिर ज़ुल्म है बढ़ता है तो मिट जाता है, ख़ून फिर ख़ून है टपकेगा तो जम जाएगा।
Zulm phir zulm hai badhta hai to mit jaata hai, Khoon phir khoon hai tapkega to jam jaayega.