ये इश्क़ नहीं आसाँ इतना ही समझ
ये इश्क़ नहीं आसाँ इतना ही समझ लीजे, इक आग का दरिया है और डूब के जाना है।
Ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje, Ik aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.
✦ Ek ehsaas, kai alfaaz ✦
Rooh ki baat, prem ki talaash aur apne bheetar ka ujaala. Mir Dard, Khusro, Iqbal aur Kabir ke alfaaz, Hindi aur Hinglish mein.
Har ehsaas ko ek awaaz
ये इश्क़ नहीं आसाँ इतना ही समझ लीजे, इक आग का दरिया है और डूब के जाना है।
Ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje, Ik aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.
जग में आ कर इधर उधर देखा, तू ही आया नज़र जिधर देखा।
Jag mein aakar idhar udhar dekha, Tu hi aaya nazar jidhar dekha.
पोथी पढ़ि-पढ़ि जग मुवा, पंडित भया न कोइ, एकै आखर प्रेम का, पढ़ै सो पंडित होइ॥
Pothi padhi-padhi jag muwa, pandit bhaya na koi, Ekai aakhar prem ka, padhai so pandit hoi.
घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें, किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाए।
Ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar lein, Kisi rote hue bachche ko hansaaya jaaye.
सात संदूक़ों में भर कर दफ़्न कर दो नफ़रतें, आज इंसाँ को मोहब्बत की ज़रूरत है बहुत।
Saat sandookon mein bhar kar dafn kar do nafratein, Aaj insaan ko mohabbat ki zaroorat hai bahut.
जहाँ रहेगा वहीं रौशनी लुटाएगा, किसी चराग़ का अपना मकाँ नहीं होता।
Jahaan rahega wahin raushni lutaayega, Kisi charaagh ka apna makaan nahi hota.
गोरी सोवे सेज पर मुख पर डारे केस, चल 'ख़ुसरो' घर आपने रैन भई चहूँ देस।
Gori sove sej par mukh par daare kes, Chal Khusrau ghar aapne rain bhayi chahun des.
न था कुछ तो ख़ुदा था कुछ न होता तो ख़ुदा होता, डुबोया मुझ को होने ने न होता मैं तो क्या होता।
Na tha kuch to Khuda tha kuch na hota to Khuda hota, Duboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota.
जान तुम पर निसार करता हूँ, मैं नहीं जानता दुआ क्या है।
Jaan tum par nisaar karta hoon, Main nahi jaanta dua kya hai.
कभी ऐ हक़ीक़त-ए-मुंतज़र नज़र आ लिबास-ए-मजाज़ में, कि हज़ारों सज्दे तड़प रहे हैं मिरी जबीन-ए-नियाज़ में।
Kabhi ai haqeeqat-e-muntazar nazar aa libaas-e-majaaz mein, Ki hazaaron sajde tadap rahe hain miri jabeen-e-niyaaz mein.
दिल से जो बात निकलती है असर रखती है, पर नहीं ताक़त-ए-परवाज़ मगर रखती है।
Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai, Par nahi taaqat-e-parwaaz magar rakhti hai.
अर्ज़-ओ-समा कहाँ तिरी वुसअत को पा सके, मेरा ही दिल है वो कि जहाँ तू समा सके।
Arz-o-samaan kahaan tiri wus'at ko pa sake, Mera hi dil hai wo ki jahaan tu sama sake.
वो सूफ़ी का क़ौल हो या पंडित का ज्ञान, जितनी बीते आप पर उतना ही सच मान।
Woh Sufi ka qaul ho ya pandit ka gyaan, Jitni beete aap par utna hi sach maan.
कस्तूरी कुंडलि बसै, मृग ढूँढै बन माँहि, ऐसैं घटि घटि राँम है, दुनियाँ देखै नाँहि॥
Kastoori kundali basai, mrig dhoondhai ban maahin, Aisain ghati ghati Ram hai, duniya dekhai naahin.
जब मैं था तब हरि नहीं, अब हरि हैं मैं नाँहिं, सब अँधियारा मिटि गया, जब दीपक देख्या माँहि॥
Jab main tha tab Hari nahin, ab Hari hain main naahin, Sab andhiyaara miti gaya, jab deepak dekhya maahin.
Ishwar, prem, karuna aur apne aap ki pehchaan ke alag swar. Shayar ka naam dabaakar isi website par unka poora uplabdh sangrah padhein. Pasandida panktiyaan Hindi aur Hinglish mein padhein aur sahejein.
Aur ehsaas padhiye