Ek shayar, kai ehsaas

Kaifi Azmi ki shayari

Is sangrah mein Kaifi Azmi ki saari 4 rachnaayein. Hindi aur Hinglish mein padhiye, apni pasand sahejiye aur kisi apne se share keejiye.

Saare shayar

Har ehsaas ko ek awaaz

Kaifi Azmi ki shayari

झुकी झुकी सी नज़र बे-क़रार है कि

झुकी झुकी सी नज़र बे-क़रार है कि नहीं, दबा दबा सा सही दिल में प्यार है कि नहीं।

Jhuki jhuki si nazar beqaraar hai ki nahi, Daba daba sa sahi dil mein pyaar hai ki nahi.

#प्यार   #दो_लाइन_शायरी

तुम इतना जो मुस्कुरा रहे हो

तुम इतना जो मुस्कुरा रहे हो, क्या ग़म है जिस को छुपा रहे हो।

Tum itna jo muskura rahe ho, Kya gham hai jisko chhupa rahe ho.

#दर्द-ए-दिल   #दो_लाइन_शायरी

रहने को सदा दहर में आता नहीं

रहने को सदा दहर में आता नहीं कोई, तुम जैसे गए ऐसे भी जाता नहीं कोई।

Rehne ko sada dahar mein aata nahi koi, Tum jaise gaye aise bhi jaata nahi koi.

#दर्द-ए-दिल   #दो_लाइन_शायरी

कोई ये कैसे बताए कि वो तन्हा

कोई ये कैसे बताए कि वो तन्हा क्यूँ है, वो जो अपना था वही और किसी का क्यूँ है।

Koi ye kaise bataaye ki wo tanha kyun hai, Wo jo apna tha wahi aur kisi ka kyun hai.

#ज़िंदगी   #दो_लाइन_शायरी

Apne sher ki tasveer banaayein

Tasveer ka aakaar
Rang chunein
Lipi

Tasveer aapke browser mein banti hai. Koi file upload nahin hoti.