उस की याद आई है साँसो ज़रा
उस की याद आई है साँसो ज़रा आहिस्ता चलो, धड़कनों से भी इबादत में ख़लल पड़ता है।
Uski yaad aayi hai saanson zara aahista chalo, Dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai.
✦ Ek ehsaas, kai alfaaz ✦
Mohabbat ke woh alfaaz jo dil mein reh jaate hain. Ghalib, Faraz, Jigar aur doosre shayaron ke chuninda sher.
Har ehsaas ko ek awaaz
उस की याद आई है साँसो ज़रा आहिस्ता चलो, धड़कनों से भी इबादत में ख़लल पड़ता है।
Uski yaad aayi hai saanson zara aahista chalo, Dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai.
ये इश्क़ नहीं आसाँ इतना ही समझ लीजे, इक आग का दरिया है और डूब के जाना है।
Ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje, Ik aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.
शाम से आँख में नमी सी है, आज फिर आप की कमी सी है।
Shaam se aankh mein nami si hai, Aaj phir aapki kami si hai.
अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपाएँ कैसे, तेरी मर्ज़ी के मुताबिक़ नज़र आएँ कैसे।
Apne chehre se jo zaahir hai chhupayein kaise, Teri marzi ke mutaabiq nazar aayein kaise.
हज़ारों ख़्वाहिशें ऐसी कि हर ख़्वाहिश पे दम निकले, बहुत निकले मिरे अरमान लेकिन फिर भी कम निकले।
Hazaaron khwahishein aisi ki har khwahish pe dam nikle, Bahut nikle mire armaan lekin phir bhi kam nikle.
अरमान: दिल की चाह। मिरे: मेरे।
तुम मिरे पास होते हो गोया, जब कोई दूसरा नहीं होता।
Tum mire paas hote ho goya, Jab koi doosra nahin hota.
गोया: जैसे कि।
नाज़ुकी उस के लब की क्या कहिए, पंखुड़ी इक गुलाब की सी है।
Naazuki us ke lab ki kya kahiye, Pankhudi ik gulaab ki si hai.
नाज़ुकी: कोमलता। लब: होंठ।
इश्क़ पर ज़ोर नहीं है ये वो आतिश ग़ालिब, कि लगाए न लगे और बुझाए न बने।
Ishq par zor nahin hai ye woh aatish Ghalib, Ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane.
आतिश: आग।
ये न थी हमारी क़िस्मत कि विसाल-ए-यार होता, अगर और जीते रहते यही इंतज़ार होता।
Ye na thi hamaari qismat ki visaal-e-yaar hota, Agar aur jeete rehte yahi intezaar hota.
विसाल-ए-यार: प्रिय से मिलन।
पत्ता पत्ता बूटा बूटा हाल हमारा जाने है, जाने न जाने गुल ही न जाने बाग़ तो सारा जाने है।
Patta patta boota boota haal hamaara jaane hai, Jaane na jaane gul hi na jaane baagh to saara jaane hai.
बूटा: पौधा। गुल: फूल; यहाँ प्रिय का संकेत।
इश्क़ ने ग़ालिब निकम्मा कर दिया, वर्ना हम भी आदमी थे काम के।
Ishq ne Ghalib nikamma kar diya, Warna hum bhi aadmi the kaam ke.
होश वालों को ख़बर क्या बे-ख़ुदी क्या चीज़ है, इश्क़ कीजे फिर समझिए ज़िंदगी क्या चीज़ है।
Hosh waalon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai, Ishq keeje phir samajhiye zindagi kya cheez hai.
पलकें भी चमक उठती हैं सोते में हमारी, आँखों को अभी ख़्वाब छुपाने नहीं आते।
Palkein bhi chamak uthti hain sote mein hamaari, Aankhon ko abhi khwaab chhupane nahi aate.
उन के देखे से जो आ जाती है मुँह पर रौनक़, वो समझते हैं कि बीमार का हाल अच्छा है।
Un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaq, Wo samajhte hain ki bimaar ka haal achha hai.
गुलों में रंग भरे बाद-ए-नौ-बहार चले, चले भी आओ कि गुलशन का कारोबार चले।
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale, Chale bhi aao ki gulshan ka kaarobaar chale.
ख़ूब पर्दा है कि चिलमन से लगे बैठे हैं, साफ़ छुपते भी नहीं सामने आते भी नहीं।
Khoob parda hai ki chilman se lage baithe hain, Saaf chhupte bhi nahi saamne aate bhi nahi.
चुपके चुपके रात दिन आँसू बहाना याद है, हम को अब तक आशिक़ी का वो ज़माना याद है।
Chupke-chupke raat din aansoo bahaana yaad hai, Hum ko ab tak aashiqui ka wo zamaana yaad hai.
झुकी झुकी सी नज़र बे-क़रार है कि नहीं, दबा दबा सा सही दिल में प्यार है कि नहीं।
Jhuki jhuki si nazar beqaraar hai ki nahi, Daba daba sa sahi dil mein pyaar hai ki nahi.
कोई दीवाना कहता है कोई पागल समझता है, मगर धरती की बेचैनी को बस बादल समझता है।
Koi deewana kehta hai koi paagal samajhta hai, Magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhta hai.
कल चौदहवीं की रात थी शब भर रहा चर्चा तिरा, कुछ ने कहा ये चाँद है कुछ ने कहा चेहरा तिरा।
Kal chaudahvin ki raat thi shab bhar raha charcha tera, Kuch ne kaha ye chaand hai kuch ne kaha chehra tera.
तिरे इश्क़ की इंतिहा चाहता हूँ, मिरी सादगी देख क्या चाहता हूँ।
Tere ishq ki intiha chahta hoon, Meri saadgi dekh kya chahta hoon.
सुना है लोग उसे आँख भर के देखते हैं, सो उस के शहर में कुछ दिन ठहर के देखते हैं।
Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain, So uske shahar mein kuch din thahar ke dekhte hain.
सुना है बोले तो बातों से फूल झड़ते हैं, ये बात है तो चलो बात कर के देखते हैं।
Suna hai bole to baaton se phool jhadte hain, Ye baat hai to chalo baat karke dekhte hain.
दिल-ए-नादाँ तुझे हुआ क्या है, आख़िर इस दर्द की दवा क्या है।
Dil-e-naadaan tujhe hua kya hai, Aakhir is dard ki dawa kya hai.
हम को उन से वफ़ा की है उम्मीद, जो नहीं जानते वफ़ा क्या है।
Hum ko un se wafa ki hai ummeed, Jo nahi jaante wafa kya hai.
मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला, अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी न मिला।
Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila, Agar gale nahi milta to haath bhi na mila.
कभी तो चौंक के देखे कोई हमारी तरफ़, किसी की आँख में हम को भी इंतिज़ार दिखे।
Kabhi to chaunk ke dekhe koi hamaari taraf, Kisi ki aankh mein hum ko bhi intezaar dikhe.
कुछ तो हवा भी सर्द थी कुछ था तिरा ख़याल भी, दिल को ख़ुशी के साथ साथ होता रहा मलाल भी।
Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayaal bhi, Dil ko khushi ke saath-saath hota raha malaal bhi.
मैं सच कहूँगी मगर फिर भी हार जाऊँगी, वो झूट बोलेगा और ला-जवाब कर देगा।
Main sach kahoongi magar phir bhi haar jaungi, Wo jhooth bolega aur laajawaab kar dega.
तुम अगर साथ देने का वा'दा करो, मैं यूँही मस्त नग़्मे लुटाता रहूँ।
Tum agar saath dene ka waada karo, Main yunhi mast naghme lutaata rahoon.
नींद से मेरा तअल्लुक़ ही नहीं बरसों से, ख़्वाब आ आ के मिरी छत पे टहलते क्यूँ हैं।
Neend se mera taalluq hi nahin barson se, Khwaab aa aa ke miri chhat pe tahalte kyoon hain.
शायद मुझे किसी से मोहब्बत नहीं हुई, लेकिन यक़ीन सब को दिलाता रहा हूँ मैं।
Shayad mujhe kisi se mohabbat nahi hui, Lekin yaqeen sabko dilaata raha hoon main.
एक ही हादसा तो है और वो ये कि आज तक, बात नहीं कही गई बात नहीं सुनी गई।
Ek hi haadsa to hai aur wo ye ki aaj tak, Baat nahi kahi gayi baat nahi suni gayi.
तुम हक़ीक़त नहीं हो हसरत हो, जो मिले ख़्वाब में वो दौलत हो।
Tum haqeeqat nahi ho hasrat ho, Jo mile khwaab mein wo daulat ho.
कितने ऐश से रहते होंगे कितने इतराते होंगे, जाने कैसे लोग वो होंगे जो उस को भाते होंगे।
Kitne aish se rehte honge kitne itraate honge, Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge.
दोनों जहान तेरी मोहब्बत में हार के, वो जा रहा है कोई शब-ए-ग़म गुज़ार के।
Dono jahaan teri mohabbat mein haar ke, Wo ja raha hai koi shab-e-gham guzaar ke.
तुम्हारी याद के जब ज़ख़्म भरने लगते हैं, किसी बहाने तुम्हें याद करने लगते हैं।
Tumhaari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain, Kisi bahaane tumhein yaad karne lagte hain.
दिल में इक लहर सी उठी है अभी, कोई ताज़ा हवा चली है अभी।
Dil mein ik lehar si uthi hai abhi, Koi taaza hawa chali hai abhi.
Har sher ke saath shayar ka naam aur Hinglish paath hai. Naam dabaakar isi website par unki saari uplabdh rachnaayein padhein. Pasand aaye to copy karein ya tasveer banaayein.
Aur ehsaas padhiye