रंजिश ही सही दिल ही दुखाने के
रंजिश ही सही दिल ही दुखाने के लिए आ, आ फिर से मुझे छोड़ के जाने के लिए आ।
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa, Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.
✦ Ek ehsaas, kai alfaaz ✦
Adhoori mohabbat, tootti ummeed aur dil ki khamoshi. Mir, Faraz, Parveen Shakir aur doosre shayaron ke alfaaz.
Har ehsaas ko ek awaaz
रंजिश ही सही दिल ही दुखाने के लिए आ, आ फिर से मुझे छोड़ के जाने के लिए आ।
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa, Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.
वो तो ख़ुश-बू है हवाओं में बिखर जाएगा, मसअला फूल का है फूल किधर जाएगा।
Wo to khushboo hai hawaon mein bikhar jayega, Mas'ala phool ka hai phool kidhar jayega.
अब नहीं कोई बात ख़तरे की, अब सभी को सभी से ख़तरा है।
Ab nahi koi baat khatre ki, Ab sabhi ko sabhi se khatra hai.
ये न थी हमारी क़िस्मत कि विसाल-ए-यार होता, अगर और जीते रहते यही इंतज़ार होता।
Ye na thi hamaari qismat ki visaal-e-yaar hota, Agar aur jeete rehte yahi intezaar hota.
विसाल-ए-यार: प्रिय से मिलन।
पत्ता पत्ता बूटा बूटा हाल हमारा जाने है, जाने न जाने गुल ही न जाने बाग़ तो सारा जाने है।
Patta patta boota boota haal hamaara jaane hai, Jaane na jaane gul hi na jaane baagh to saara jaane hai.
बूटा: पौधा। गुल: फूल; यहाँ प्रिय का संकेत।
आग थे इब्तिदा-ए-इश्क़ में हम, अब जो हैं ख़ाक इंतिहा है ये।
Aag the ibtida-e-ishq mein hum, Ab jo hain khaak intehaa hai ye.
इब्तिदा: शुरुआत। इंतिहा: आख़िर। ख़ाक: राख या मिट्टी।
उल्टी हो गईं सब तदबीरें कुछ न दवा ने काम किया, देखा इस बीमारी-ए-दिल ने आख़िर काम तमाम किया।
Ulti ho gayin sab tadbeerein kuchh na dawa ne kaam kiya, Dekha is beemaari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya.
तदबीरें: उपाय। बीमारी-ए-दिल: दिल का रोग।
अब के हम बिछड़े तो शायद कभी ख़्वाबों में मिलें, जिस तरह सूखे हुए फूल किताबों में मिलें।
Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwaabon mein milein, Jis tarah sookhe hue phool kitaabon mein milein.
मुझ से पहली सी मोहब्बत मिरी महबूब न माँग, मैं ने समझा था कि तू है तो दरख़्शाँ है हयात।
Mujh se pehli si mohabbat miri mehboob na maang, Maine samjha tha ki tu hai to darakhshan hai hayaat.
कोई उम्मीद बर नहीं आती, कोई सूरत नज़र नहीं आती।
Koi ummeed bar nahi aati, Koi soorat nazar nahi aati.
आह को चाहिए इक उम्र असर होते तक, कौन जीता है तिरी ज़ुल्फ़ के सर होते तक।
Aah ko chaahiye ik umr asar hote tak, Kaun jeeta hai tiri zulf ke sar hote tak.
दिल ही तो है न संग-ओ-ख़िश्त दर्द से भर न आए क्यूँ, रोएँगे हम हज़ार बार कोई हमें सताए क्यूँ।
Dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye kyun, Royenge hum hazaar baar koi humein sataaye kyun.
क्या सितम है कि अब तिरी सूरत, ग़ौर करने पे याद आती है।
Kya sitam hai ki ab tiri soorat, Ghaur karne pe yaad aati hai.
मैं जो हूँ 'जौन-एलिया' हूँ जनाब, इस का बेहद लिहाज़ कीजिएगा।
Main jo hoon 'Jaun Elia' hoon janaab, Is ka behad lihaaz kijiyega.
ज़िंदगी किस तरह बसर होगी, दिल नहीं लग रहा मोहब्बत में।
Zindagi kis tarah basar hogi, Dil nahi lag raha mohabbat mein.
कैसे कह दूँ कि मुझे छोड़ दिया है उस ने, बात तो सच है मगर बात है रुस्वाई की।
Kaise keh doon ki mujhe chhod diya hai usne, Baat to sach hai magar baat hai ruswaai ki.
लोग टूट जाते हैं एक घर बनाने में, तुम तरस नहीं खाते बस्तियाँ जलाने में।
Log toot jaate hain ek ghar banaane mein, Tum taras nahi khaate bastiyan jalaane mein.
कुछ तो मजबूरियाँ रही होंगी, यूँ कोई बेवफ़ा नहीं होता।
Kuch to majbooriyan rahi hongi, Yun koi bewafa nahi hota.
हाथ छूटें भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते, वक़्त की शाख़ से लम्हे नहीं तोड़ा करते।
Haath chhootein bhi to rishte nahi chhoda karte, Waqt ki shaakh se lamhe nahi toda karte.
दिल की वीरानी का क्या मज़कूर है, ये नगर सौ मर्तबा लूटा गया।
Dil ki veeraani ka kya mazkoor hai, Ye nagar sau martaba loota gaya.
देख तो दिल कि जाँ से उठता है, ये धुआँ सा कहाँ से उठता है।
Dekh to dil ki jaan se uthta hai, Ye dhuaan sa kahaan se uthta hai.
तुम इतना जो मुस्कुरा रहे हो, क्या ग़म है जिस को छुपा रहे हो।
Tum itna jo muskura rahe ho, Kya gham hai jisko chhupa rahe ho.
चलो इक बार फिर से अजनबी बन जाएँ हम दोनों, न मैं तुम से कोई उम्मीद रखूँ दिल-नवाज़ी की।
Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayein hum dono, Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnawaazi ki.
तंग आ चुके हैं कशमकश-ए-ज़िंदगी से हम, ठुकरा न दें जहाँ को कहीं बे-दिली से हम।
Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum, Thukra na dein jahaan ko kahin bedili se hum.
हमारे घर की दीवारों पे 'नासिर', उदासी बाल खोले सो रही है।
Hamaare ghar ki deewaaron pe 'Nasir', Udaasi baal khole so rahi hai.
गए दिनों का सुराग़ ले कर किधर से आया किधर गया वो, अजीब मानूस अजनबी था मुझे तो हैरान कर गया वो।
Gaye dinon ka suraagh lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo, Ajeeb maanoos ajnabi tha mujhe to hairaan kar gaya wo.
शाम भी थी धुआँ धुआँ हुस्न भी था उदास उदास, दिल को कई कहानियाँ याद सी आ के रह गईं।
Shaam bhi thi dhuaan-dhuaan husn bhi tha udaas-udaas, Dil ko kayi kahaaniyan yaad si aa ke reh gayin.
कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता, कहीं ज़मीन कहीं आसमाँ नहीं मिलता।
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta, Kahin zameen to kahin aasmaan nahi milta.
वो मिरे हो के भी मिरे न हुए, उन को अपना बना के देख लिया।
Woh mire ho ke bhi mire na hue, Un ko apna bana ke dekh liya.
लगता नहीं है दिल मिरा उजड़े दयार में, किस की बनी है आलम-ए-ना-पाएदार में।
Lagta nahi hai dil mira ujde dayaar mein, Kis ki bani hai aalam-e-naapaayedaar mein.
कितना है बद-नसीब 'ज़फ़र' दफ़्न के लिए, दो गज़ ज़मीन भी न मिली कू-ए-यार में।
Kitna hai badnaseeb 'Zafar' dafn ke liye, Do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar mein.
सीने में जलन आँखों में तूफ़ान सा क्यूँ है, इस शहर में हर शख़्स परेशान सा क्यूँ है।
Seene mein jalan aankhon mein toofaan sa kyun hai, Is shahar mein har shakhs pareshaan sa kyun hai.
दिल चीज़ क्या है आप मिरी जान लीजिए, बस एक बार मेरा कहा मान लीजिए।
Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye, Bas ek baar mera kaha maan lijiye.
ज़िंदगी जैसी तवक़्क़ो' थी नहीं कुछ कम है, हर घड़ी होता है एहसास कहीं कुछ कम है।
Zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam hai, Har ghadi hota hai ehsaas kaheen kuchh kam hai.
ये इल्म का सौदा ये रिसाले ये किताबें, इक शख़्स की यादों को भुलाने के लिए हैं।
Ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabein, Ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain.
हम हैं मता-ए-कूचा-ओ-बाज़ार की तरह, उठती है हर निगाह ख़रीदार की तरह।
Hum hain mataa-e-koocha-o-baazaar ki tarah, Uthti hai har nigaah khareedaar ki tarah.
इक मुअम्मा है समझने का न समझाने का, ज़िंदगी काहे को है ख़्वाब है दीवाने का।
Ik muamma hai samajhne ka na samjhaane ka, Zindagi kaahe ko hai khwaab hai deewaane ka.
चला जाता हूँ हँसता खेलता मौज-ए-हवादिस से, अगर आसानियाँ हों ज़िंदगी दुश्वार हो जाए।
Chala jaata hoon hansta khelta mauj-e-hawaadis se, Agar aasaaniyan hon zindagi dushwaar ho jaaye.
रहने को सदा दहर में आता नहीं कोई, तुम जैसे गए ऐसे भी जाता नहीं कोई।
Rehne ko sada dahar mein aata nahi koi, Tum jaise gaye aise bhi jaata nahi koi.
Har sher ke saath shayar ka naam aur Hinglish paath hai. Naam dabaakar isi website par unki saari uplabdh rachnaayein padhein. Pasand aaye to copy karein ya tasveer banaayein.
Aur ehsaas padhiye