धूप में निकलो घटाओं में नहा कर
धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो, ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो।
Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho, Zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho.
Ek shayar, kai ehsaas
Is sangrah mein Nida Fazli ki saari 9 rachnaayein. Hindi aur Hinglish mein padhiye, apni pasand sahejiye aur kisi apne se share keejiye.
Saare shayarHar ehsaas ko ek awaaz
धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो, ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो।
Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho, Zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho.
होश वालों को ख़बर क्या बे-ख़ुदी क्या चीज़ है, इश्क़ कीजे फिर समझिए ज़िंदगी क्या चीज़ है।
Hosh waalon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai, Ishq keeje phir samajhiye zindagi kya cheez hai.
कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता, कहीं ज़मीन कहीं आसमाँ नहीं मिलता।
Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta, Kahin zameen to kahin aasmaan nahi milta.
सफ़र में धूप तो होगी जो चल सको तो चलो, सभी हैं भीड़ में तुम भी निकल सको तो चलो।
Safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo, Sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chalo.
घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें, किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाए।
Ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar lein, Kisi rote hue bachche ko hansaaya jaaye.
हर आदमी में होते हैं दस बीस आदमी, जिस को भी देखना हो कई बार देखना।
Har aadmi mein hote hain das-bees aadmi, Jis ko bhi dekhna ho kayi baar dekhna.
दुनिया जिसे कहते हैं जादू का खिलौना है, मिल जाए तो मिट्टी है खो जाए तो सोना है।
Duniya jise kehte hain jaadoo ka khilauna hai, Mil jaaye to mitti hai kho jaaye to sona hai.
यहाँ किसी को कोई रास्ता नहीं देता, मुझे गिरा के अगर तुम सँभल सको तो चलो।
Yahaan kisi ko koi raasta nahi deta, Mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo.
वो सूफ़ी का क़ौल हो या पंडित का ज्ञान, जितनी बीते आप पर उतना ही सच मान।
Woh Sufi ka qaul ho ya pandit ka gyaan, Jitni beete aap par utna hi sach maan.