पलकें भी चमक उठती हैं सोते में
पलकें भी चमक उठती हैं सोते में हमारी, आँखों को अभी ख़्वाब छुपाने नहीं आते।
Palkein bhi chamak uthti hain sote mein hamaari, Aankhon ko abhi khwaab chhupane nahi aate.
Ek shayar, kai ehsaas
Is sangrah mein Bashir Badr ki saari 10 rachnaayein. Hindi aur Hinglish mein padhiye, apni pasand sahejiye aur kisi apne se share keejiye.
Saare shayarHar ehsaas ko ek awaaz
पलकें भी चमक उठती हैं सोते में हमारी, आँखों को अभी ख़्वाब छुपाने नहीं आते।
Palkein bhi chamak uthti hain sote mein hamaari, Aankhon ko abhi khwaab chhupane nahi aate.
मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला, अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी न मिला।
Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila, Agar gale nahi milta to haath bhi na mila.
लोग टूट जाते हैं एक घर बनाने में, तुम तरस नहीं खाते बस्तियाँ जलाने में।
Log toot jaate hain ek ghar banaane mein, Tum taras nahi khaate bastiyan jalaane mein.
कुछ तो मजबूरियाँ रही होंगी, यूँ कोई बेवफ़ा नहीं होता।
Kuch to majbooriyan rahi hongi, Yun koi bewafa nahi hota.
उजाले अपनी यादों के हमारे साथ रहने दो, न जाने किस गली में ज़िंदगी की शाम हो जाए।
Ujaale apni yaadon ke hamaare saath rehne do, Na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye.
दुश्मनी जम कर करो लेकिन ये गुंजाइश रहे, जब कभी हम दोस्त हो जाएँ तो शर्मिंदा न हों।
Dushmani jam kar karo lekin ye gunjaaish rahe, Jab kabhi hum dost ho jaayein to sharminda na hon.
सात संदूक़ों में भर कर दफ़्न कर दो नफ़रतें, आज इंसाँ को मोहब्बत की ज़रूरत है बहुत।
Saat sandookon mein bhar kar dafn kar do nafratein, Aaj insaan ko mohabbat ki zaroorat hai bahut.
जी बहुत चाहता है सच बोलें, क्या करें हौसला नहीं होता।
Jee bahut chahta hai sach bolein, Kya karein hausla nahi hota.
उड़ने दो परिंदों को अभी शोख़ हवा में, फिर लौट के बचपन के ज़माने नहीं आते।
Udne do parindon ko abhi shokh hawa mein, Phir laut ke bachpan ke zamaane nahi aate.
परखना मत परखने में कोई अपना नहीं रहता, किसी भी आइने में देर तक चेहरा नहीं रहता।
Parakhna mat parakhne mein koi apna nahi rehta, Kisi bhi aaine mein der tak chehra nahi rehta.